Home Blog T20 World Cup 2024: New Guidelines|DLS, Tremendous Overs ,Cease clock & Every...

T20 World Cup 2024: New Guidelines|DLS, Tremendous Overs ,Cease clock & Every little thing You Have to Know!

55
26

Particular Circumstances For T20 Worldcup 2024 #wc2024 #t20worldcup2024 #iccworldcup #indiateam #worldcuprule #worldcup New …

source

26 COMMENTS

  1. Yeh saare time wale rules khel ke behtari ke liye nahi hain. Yeh toh broadcasters ki sahuliyat ke liye bane hain. Broadcasters ko advertisement insert karne mein help karta hai, unki programming ki sahuliyat ke liye yeh sab rules introduce huye hain.
    Varna, slow over rate ke liye rules aur fines toh pehle bhi thay. Haan, uss rule mein yeh add kar dete ki overall allotted 125mins ke upar jaane par, fine ke saath saath har minute pe 2 Runs ki penalty hoti.
    Stop Clock ke rule se, over ki pehli gend jaldi phenkne ka pressure hota hai aur uss wajah se kayi baar bowler aur captain apni strategy soch kar field set nahi kar paate. Iss kism ka pressure khel ke liye sahi nahi hai. Fielding team ko bhi freedom honi chahiye ki woh khul ke soch paayein aur jab bhi lage ki unka over rate slow ho raha hai, usko manage karein. Fast bowler 5-5.30min mein over complete karega, lekin spin bowler 3-3.30mins mein. Overall, 125mins mein 20 over kaise phenkne hain, mid overs mein field setting mein kitna samay lagana hai, iski freedom fielding team ko honi chahiye.
    Cricket din-ba-din sirf batters ke favour mein hota jaa raha hai. Batters aur Bowlers ke beech ki spardha samaapt hote jaa rahi hai. IPL ke pitches dekh lo, itne flat pitches hote hain ki world ke best bowlers sirf daud daud kar pitne ke liye aate hain. Sirf chauke-chhakke kitna dekh legi public. Kuch contest toh ho.
    Luckily, iss T20 WC ke pitches slow hain aur humein bat & ball ka contest dekhne mil raha hai.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here